Zindgi h choti par me khush hu, is time me khush hu, in halat me khush hu, aaj gadi me jane ka wakt nai hai, 2 kadam chal k hi khush hu, aaj kisi ka sath nai hai, kitab pad k hi khush hu, aaj koi naraj hai, uske is andaz me bhi khush hu, jisko pa nai sakti uski yad me hi khush hu, bita hua kal ja chuka hai, uski mithi yadein hai unme hi khush hu, haste haste ye pal bitenge, ye soch k hu khush hu, zindagi h choti hr pal me khush hu
Posts
Showing posts from February, 2012
- Get link
- X
- Other Apps
Ek roz juda ho jaon ga Na jane kahan kho jaon ga Tum lakh pukaro gay muj ko Par lot k main na aon ga Jab ghar say bahir galion k Konon pe tanha behto gy Jab atay jatay chehron main Tum chehra mera na pao gy Thak har k din k kamo say Jab rat ko sony jao gy Dekho gy jab phone ko Pegham mara na pao gy Tab yaad tumhain main aonga Par lot k main na aonga Ek roz ye rishta chootay ga Dil itna zayada toty ga Phir koi na ham sy rothe ga Main na ankhein kholun ga Tm sy kbi na bolun ga Akhir us din tm ro do gy Tm apna yaar kho do gy!
Ek Ladki Hai Gazal Ki Taraah
- Get link
- X
- Other Apps
Gulaabon Se Lipati Shabnam Ki Taraah Usaki Adaayein Hai Mausam Ki Taraah Sheeshe Sa Badan Naadaan Dil Ek Ladki Hai Gazal Ki Taraah Palkon Pe Ruki Woh Meri Zindagi Milati Hai Mujhse Kwhabon Ki Taraah Khafa Jo Mujhse Bhaiti Hai Duur Chaahaa Hai Use Zindagi Ki Taraah Banke Badal Jo Dil Pe Chaayi Hai Aankhon Mein Bikhari Thi Kajaal Ki Taraah Jaanegi Jab Meri Mohobbat Ki Intehaa Dhundegi Woh Mujhe Deewaano Ki Taraah Kehate Hai Log “Pyar” Jise Hamne Woh Kiyaa Ibaadat Ki Taraah
Ek Falsafa Pyar ka
- Get link
- X
- Other Apps
Kitna nasamajh tha main, nahi samajh paya jo us -prem ko; jisko tumne kabhi abhivyakt nahi kiya bus apni palkon me hi sanjo ke rakha.... Kyo na dekh paya wo tripti un nayanon me; jo chamak banke ubharti thee jab sahasa mil jate the hum kahin.... Kyo na mahsoon kar paya wo thande hathon ka sparsh garam hatheli par jo sada kahna chahti thee shayad thaam lo mujhe ab main tumhari hoon..... Kyo na ahsaas kar paya wo kampan tumhare labho ka jo kahna to bahoot kuchh chahtey the par kuchh soch kar rook jate the..... Kyo na sun paya wo madhosh dharkano ko jo chapal hirni si bedharak bus bhagi ja rahi thee........... Kitna nasamajh tha main nahi samajh paya kabhi prem wo jazbaat hai jiski anubhuti sabdo se nahi hoti Dil ki baat dil hi samajh pata hai labho ki jaroorat nahi hoti
- Get link
- X
- Other Apps
Aisa nahi ke hum ko mohabbat nahi mili Jaisi chahte thhey hum ko woh ulfat nahi mili Milne ko zindagi mein kai humsafar mile Par un ki tabiyat se tabiyat nahi mili Chehron mein doosron ke tumein dhoondte rahe Soorat nahi mili kahin seerat nahi mili Bahaut der se aaya tu mere pass kya kahun Ilfaaz dhoondne ki bhi mohlat nahi mili Tujh ko gila raha ke tuwajjo na di tujhe Lekan hamein khud apni mohabbat nahi mili Her shakhs zindagi mein bahri der se mila Koi bhi cheez waqte zaroorat nahi mili Hum ko to teri aadat achhi lagi Afsos keh tujh se meri aadat nahi mili